Top 7 Adventure Games for Android Offline

Top 7 offline adventure games for android

Hi dosto agar aap adventure games dhundh rahe hai apne android phone ke liye tho aaj mai aapko batane wala hu 7 aise adventure games jo aap apne android phones mai enjoy kar sakte hai vo bhi offline

Dragon Land

Dragon Land kaafi famous game humare android phones ke liye agar aap koi unique adventure game dhundh rahe ho tho aap dragon land ko play kar sakte ho. Iss game mai aap kaafi saare lands mai travel kar sakte ho and khaas baat ye hai iss game ki isme aapko 100 se bhi zada levels dekhne ko mill jaate hai. Aap different worlds mai jaa sakte hai and kaafi kuch humare ko iss game mai dekhne ko mill jata hai. kaafi achi adventure game hai ye aap iss game ko try kar sakte ho.

The Trail

The trail game aapko kaafi saare gaming consoles mai dekhne ko mill jaati hai and ye game aap apne android phone mai bhi enjoy kar sakte hai. the trail simple adventure role playing game jisme hum ek epic journey pe jaate hai. story kaafi achi hai graphic bhi aapko best dekhne ko mill jaati hai agar aap kuch new type ki game dhundh rahe ho tho aap the trail game play jarur karna

Rayman Adventures

Rayman adventures jo ki kaafi logo pasand hai and ye game humare ko apne android phone mai bhi dekhne ko mill jaati hai. ye game adventure platform game mai se aati hai and agar aap iss game ko try karte ho tho aapko bahut zada maza aane wala hai. iss game mai aapko achi story dekhne ko mill jaati hai but aapko isme open world dekhne ko nhi milta but ye game best hai android phones ke liye.

Mr Pumpkin 2

Mr pumpkin 2 iss time meri favourite game hai kyuki ye game kaafi alag game hai story bhut achi hai and khaas baat ye hai ki hum iss game ko apne android phones mai bhi play kar sakte hai. Iss game ke aapko kaafi chapters bhi mil jaate hai. agar aap ye game try karna chahte ho tho aap isse play kar sakte hai.

Banana kong

Banana kong ek aisi game hai jo aapko bahut pasand aayegi simple game hai isme game mai banana ko catch karna hota hai and aapko iss game mai 48 levels play karne ko bhi mill jaate hai. iss game mai koi story nhi hai but adventure kaafi hai. Simple running game hai and ye game khelke aapko kaafi alag experience milega.

Jetpack Joyride

Jetpack joyride ye game ps3 mai kaafi zada pasand ki gayi and aap iss game ko apne android phones mai bhi enjoy kar sakte ho. jetpack joyride mai aapko kaafi type ke jetpacks se play karne ko mill jaata hai kaafi adventurer game hai ye kyuki isme kaafi obstacles dodge karne hote hai and aapko kaafi saare vehicles se play karne ko mill jata hai jo iss game ka best part hai. kaafi ache levels dekhne ko iss game mai mill jaate hai and graphic bhi iss game ki achi mill jaati hai. jatpack joyride game ko try jarur karna agar aap adventure game dhundh rahe hai tho.

Alto's Adventure

Alto’s adventure game mai aap endless snow boarding kar sakte hai and iss game mai humare ko kaafi beautiful journey dekhne ko mill jaati hai. Kaafi ache game ke looks aur graphics hai. Kaafi saare levels play karne ko mill jaate hai.

Related posts

Leave a Comment